Basti mein in murdoo ki
Zindagi ko parvan charhana ha
Ek nuktey k ghulam ban ge hazar
Ghoomay ja baja har bazaar
K eik meri aas thi
Who bhi jo meri pyas thi
Us nuktey k who loogh
Uthey bachey chor maa ki ghud
Yad aaya woh jo us din aya tha nazar
Jis k naam pe hum ne ki eik zindagi basar
Who nuktey na miley jahan
Hum chor aey apna sab kutch wahan
Humey yad sab kutch tha magar
Sabar ker k unke hum chaley dagar
Nuktey phir jag uthey eik din
Ghulam unke hai sarey insaa o jinn
Dekh raha hon mei yahan beth
Rang jo bikharey ga har har khet
K un nukto k baghair lafzoo ki kya okaat
Jaisey namaz ho bina rakaat
Gar unko ghum ho tu kyun na mein rou jaon
Unke liye mei tu bas mar jao
Tamam lugat ha dushman-e-nukta
Ab mujh pe aa nahi sakta koi sakta
K abb tu safey bandhi hain k ho ada namaz
Kahey na koi ab k aai na humey awaz
-dabeer hemani